Saturday, August 17, 2013

Zindagi ka maqsad

ALLAH ne zindagi diya hai banane ke liye na ki guzaarne ke liye.
Zindagi banti hai imaan aur aamaal se.
Imaan hai to saare nek aamaal ki qubooliyat hai aur agar imaan nahi hai to koi bhi khair ka kaam kaabile qubool nahi.
Imaan jannat me le jayega aur jahannam se bachayega.
Adna se adna jannati ko duniya se 10 guna badi jannat milegi aur uske 80,000 naukar hoge.
Jannat main maut nahi, jannat main beemari nahi, jannat main hamesha ki jawani, hamesha ki rahat, kabhi faqr nahi, kabhi budhapa nahi.

Isliye hamari zinagi ko imaan aur aamaal se sajana hai.
Imaan jo banta hai woh imaan ki dawat se banta hai.
Imaan ki dawat yeh hai ki hum har ek ko ALLAH ki taraf bulaye, matlab yeh hai ki har ek ko ALLAH ki badaai kahe, ALLAH ki kudrat samjhaye.
Yeh hamara dawat ka dena sab se pehle hamare imaan ki tarakki ka zariya banega kyuki dawat ka khaatsa yakeen ka paida karna hai.
Jitna hum bolege ki ALLAH karte hai aur ALLAH hi se hota hai, utna hamare dil ka yaqeen banta chala jayega.

https://www.youtube.com/watch?v=A-SWKGEKZtI